Saturday, August 27, 2011

Shabd mil hee jayenge ....



Kahaniyan bikhri hain...kuch mere dimaag ke andar ...kuch doosron ke chehre mein...zaroorat hai unhe sametne ki...lafz bhi kahin kho se gaye hain..dhoond rahi hoon...pahle jo likhi thi ...ya maine phaad dia ya gum ho gaye ...pahle pahal dukh hua ..khone ka ...par ab toh wo ehsaas bhi nahi raha ...gham nahi raha...shayad kahin ye vishwaash chhipa tha ki phir likh lungi ...mere hee shabd thhe ...phir khoj lungi ....



aaj varson baad un shabdon ko khojne baithhi hoon ...kahin na kahin sakoon hai aur itminaan bhi ki ab waqt aa gaya hai kuch likhne ka ...apne wazood ko ehsaas karne ka ...shabdon ke dwara use mahsoos karne ka ...phir mil jaane ki tasalli hai ...phir paane ki khushi bhi ...kuch achchha hone ka yaqeen bhi ....jo kho gaya wo mera hee tha ...jo milega wo bhi mera hee hoga ...jazbaat bas badle honge ...umeedein kuch nayee hongi , faasle kuch aur simat jayenge , vyaktitwa kuch aur nikhar jayenge ....paripakwata aur gahri hogi , aur manzilein phir tay hongi ...sach ...Shabd mil hee jayenge....


1 comment:

Unknown said...

Jaroor mil jayenge aapko shabd..pehle se jyada aur pehle se behtar...haliki pehle wale bhi pane samay keliye ache the :) par ab mayne badal gaye honge, soch kuch alag ho gayi hogi...kuch khushiyan bad gayi ho gayi, kuch gham mit gaye honge :)